Do ehsas
1- Raat ki tanhai mein uska paigham,
Mujh mein jeene ki ek aas jaga deta hai,
Rooh ke zakhm bhi hanste hain ujaale ban kar,
Talab-e-zeest bhi koi badha deta hai.
2- Mere ehsas ko ulfat ki hawa deta hai,
Mere jazbaat mein ek aag laga deta hai,
Unki nafrat ke sahare hi main zinda rahta,
Kaun hai jo gul-e-ummeed khila deta hai.
poem by Mohammad Akmal Nazir
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!
