Gazal Haal-e-Dil By Deepak kumar deep
Gazal: - Haal-e-Dil
Haal-e-dil apna gairon se sunaya na karo
Dard hai gar dil mein, chhupaya na karo
hain sabhi gair yahan apna na koi yaar hai,
Bewajah rishte yahan banaya naa kao
Mumkin nahi hai rah me sabko sambhalna,
Gar uthha sakte nahi giraya naa karo
Aankhon me chubhti hai duniya ki khushi kyun,
Aise kisi jazbaat se sataya naa karo
Shukra hai khuda ka jo nawaza hai issi ne,
Heere rahmaton ke gawayan naa karo
Daman bhara hai isne(Khuda) mere mangne se pahle,
Deep ispe tohmat bewajah lagaya naa karo
Hard Word's-
Nawaza- Kabil, Layak(Bestow or Confer)
Rahmaton- Kripa(Grace)
Tohmat- Lanchhan(Blame)
Written By
Deepak Kumar 'deep'
Editor
New Delhi
10.10.2012
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!
