Main Adhura Hoon(Hindi)
Pyar, dil taraptha hai uske pyar ke liye
Lagtha hai jaise main adura hoon uske bina
Samje nahi kohi mujko
Main adhura hoon, uske bina
Dil taraptha hai uske bina
Kya ek disorder, kisi ki life se pyar bhi cheen letha hai?
Main adhura hoon uske bina
Aaab toh main usko hello bhi nahi bol saktha
Leken mera dil yaad kartha hai usko bahut
Zindagi main itna dard, Kyon?
Kya main ek insaan nahi hoon?
poem by Rohit Sapra
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Related quotes
Gazal Badi Ajeeb hai ye Zindagi in hindi by deepak kumar deep
Badi ajeeb hai ye zindagi,
khushi ek pal ke liye
dukh verson baras ke liye
koi sukh chahta hai is jeevan me
to usse dukhon ki bhari bori hi mil jati hai
jahan foolon ke milne ki aaasha hai
wahan katon ki sej bich jati hai
Badi ajeeb hai ye zindagi.....................
Kuch satya kuch ghooth
Kabhi aasha kabhi nirasha
kabhi sawpno ko pane ki lalasa
inhi me ulagh kar rah gayi hai zindagi
Badi ajeeb hai hai ye zindagi................
Kabhi jati kabhi varn
Kabhi bhasha kabhi dharm
viwadoke ghere me hai aaj ki sanskriti
kaise kahen, kya yahi hai zindagi?
badi ajeeb hai ye zindagi...........
Pyar doge pyar milega
satkar doge samman milega
mehanat se har chij hai sambhav
kam se chori hai dukh ka anubhav
ham jaisa hain sochte nahi hai aisi zindagi?
fier bhi log kahte hain,
badi ajeeb hai ye zindagi.............
Manav jeevan ek baar hai mita
nahi milta hai barambar
har manav se pyar karen
nafrat ko de dutkar
Krodha chod dhairya apnayen
paap chod punya kamayen
ye dharti hai dharam ki
jitni marji fasal ugayen
Ek baar yatan kar dekhen-
Hai khusnasheeb ye zindagi
nahi hai ajeeb ye zindagifir bhi log kahte hai,
badi ajeeb hai ye zindagi.........
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Hindi Poem- Chehra
Sari Raat Yuhi Bita Di Maine,
Kitabo Ke Panne Palat Te Hue,
Kuch Khwab Bunte Hue,
Palko Tale Kuch Aansu Samete Hue,
Sari Raat Yuhi Bita Di Maine,
In Nain Naksho Ko Niharte Hue,
Apni Kamiyo Ko Dhundhte Hue,
Apni Majburi Par Rote Hue,
Soch Rahi Thi Main,
Kya Kiya Tha Maine,
Kyu Kiya Tha Maine,
Kya Achi Nahi Thi Sirf Vo Jaan Pehchaan,
Ki Dena Chaha Use Mohabbat Ka Naam Maine,
Soch Rahi Thi Main,
Kya Keh Gaya Vo Itni Asani Se,
Kyu Keh Gaya Vo Itni Asani Se,
Kara Gaya Mujhe Meri Badsurti,
Meri Kamiyo Ka Ehsas,
Aur Thukra Gaya Mujhe Itni Asani Se,
Kya Dil Nahi Tha Uske Paas,
Ya Un Shabdo Ki Mithaas Kahi Kho Gayi Thi,
Aakhir Kiya Kya Maine,
Jo Mere Ehsaso Ki Zamane Bhar Me Khilli Udayi Gayi Thi,
Bas Pyar Hi To Kiya Tha,
Use Apna Dil Hi To Diya Tha,
Phir Bhi Kyu Sabke Samne Ek Mazaak Ban Kar Reh Gayi Thi,
Par Galti To Thi Hi Meri,
Ki Uski Neeli Aankho Me Dubti Chali Gayi Thi,
Uski Har Hasi Me Ek Sapna Bunti Chali Gayi Thi,
Dosh Uska Nahi Mera Hain,
Sirf Main Aur Mera Yeh Badsurat Chehra Hain,
Phir Bhi Kyun Aaj Khud Ko Bikhra Sa Mehsus Karti Hu,
Shayad Is Chehre Ke Karan Kisi Ko Ab Apna Dil Dene Se Darti Hu,
Kyunki Bahut Gehra Hota Hain Is Dard Ka Ehsas,
Par Ab Karti Hu Yahi Ardas,
Ki Ae Khuda!
Is Chehre Ko Vo Noor De,
Ki Dekhne Vala Aur Kuch Soch Hi Na Paye,
Par Is Dil Ko Dildar De,
Jiske Pyar Ke Liye Yeh Umar Bhi Kam Pad Jaye,
Aur Jisne Mujhe Thukraya,
Use Khud Koi 'Na' Keh Jaye,
Aur Tab Shayad Use Apni Galti...
[...] Read more
poem by Apurva Jain
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Awareness poem in Hindi by Deepak kumar deep
Sadiyon se khamosh ye dharti
Pata dhoondh rahi hai insanon ka
Kash! Kahin koi mil jaye
Kya shahar hai ye veerano ka?
Dhadhak rahen hai dil par hoth hain band
Iltaza hai kuch kahne ki
Par! sari nakam koshish
Mai chala gaya tha mudon ke shahar me
The naam wahan gude huwe sunhare patthron par
Wo bebas the, chilla rahe the,
Ro rahe the apni lachari par
Zuban na thepaas unke, kuch kahne ko
Kyonki wo bebas the lachar the……
Jane laga jab wahan se main
Pukar rahi thi wo sari lashen mughe
Chilla chilla kar kar kah rahi thi-
Mat banna aise, jaise the mere karm
Yaad kar un baton ko, aati mughe abs harm
Banna tha jab narm mughe, huwa main narm
Andhvishwashon me ghira tha mera apna dharm….
Jao jakar bata do unko
Meri tarah hi unka hoga haal
Maine ta umernahi ki bhakti, sirf kiya dikhawa
Jo bana aaj ka sawal
Maine apna waqut gawaya, duniyawi such ko pane me
Shareer ko sajane me,
Imarte banana me,
Danga fasad karne karane me
Par zara bhi na diya dhyan
Manav jeevan sawarne me.
Murakhta aur pagalpan ki bhi had hoti hai
Maine samay ke satguru ko nahi pahchana
Sirf libas dekha, shaklon par dhokha khakar
Har yug me maine mara taana.
Main bhi kitna badnaseeb tha
Manjeel mere karib tha
Phir bhi daud raha tha paglon ki tarah
Wo waqut bhi kaisa ajeeb tha.
Khair! Min to apne kiye ki bhugat raha hoon
Par jao jakar kahna un ghamandi, ahankari, papai,
durachari, anachari, Vyabhichari, atyachari logon se
Kyon kar raha hai apne aap se gaddaari.
Kar le apne aapki pahchan
Kaun hai tu? Kya hai tera asthan?
[...] Read more
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Maa
Maa to meri jaan hai.
dundle andhere me bhi vo, meri pehchan hai
Sehti rahi jo hr pal,
Marti rahi har pal jiske liye vo,
Kuch or nahi bs vo meri muskaan hai,
Har gaya har lamha jiske samne,
Jhuk gaya har dard jiske samne
Vo koi or nahi meri maa mera bhagwan hai.muskurati rahi har dard me vo tumhe hsane k liye,
khud jalti hai vo har pal, sirf tumhe roshni dikhane k liye, rehti hai andhero me tumhe chand dikhane k liye,
Aaj bhi intzaar krti hai vo tumhe chamkta dekhne k liye,
Tadapti hai vo bs ek bar tumhe seene se lagane k liye.
Dedo use itni khushi ki gham bhi na use chu paye is zamane me...
Bna do uske har aasun ko moti,
Chamka to uski zindagi kuch is kadar,
Ki heera bhi feeka parh jaye is zamane me,
Bs ye hi jaan lo, maa hi sabkuch hai,
Har zamane me...
poem by Neha Poemlover
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Humanity Poem- Manavta Ki Khatir
Rog laga hai har manav ko, main bada hoon tumse pyare
Tu tu may may ki issi aag me, jal rahen hain ye sare
Pyar nahi hai dilon me apne, Lagate Vishva-bandhutva ken are
Seekhen zara prakriti se bhi, jo milkar rahte chand sitare
Gar ghukaden apne aapko to, mit jayenge ghagde sare
Gair nahi koi vair nahi hai, sab hain apne mit hamare
Manav me manavta na ho, to insaan ki kaam ka
Aisa manav chalti phirti lash hai, aur lash hai kis kaam ka
Dhairya, kashma, karuna nahi to, vidya ka gyan kis kaam ka
Bistar hai par neend nahi, wo saaman hai kis kaam ka
Dhan se hai bharpur par shanti nahi, aisa dhan kis kaam ka
Duniya jise such kahti hai, wo such hai kis kaam ka
Tarraki kar li insano ne, gyan aur vigyaan se
Vhed dala antrikash ko bhi, roket wayun se
Much pe baten badi badi, par dil abhi pashan se
Haasil sab kuch kar liya par, bach na sake abhiman se
Manav me manavta hogi to sirf guru ke gyan se
“Deep” milegi mukti to bas, rab ki hi pahchan se
poem by Deepak Kumar deep
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Phagoon Ki Raasta Khoi Hawa
Kya dhoondhte hai?
Kyoun dhoondhte hai?
Kise dhoondhte hai?
Sara jahan hai..
Kabi mutthi me,
To kabhi
Kadmo tale,
Phir bhi jaane kya chahte hai?
Na jaane kis ki khoj me rehta hai,
dil bechara.
Kyon aasthir hai?
Itna asantust,
Itna vyakul ye mann mera?
Peeneko toh puri dariya hai
Na jaane phir kyoun lout aate hai
Pyase he kinare se
Lekar koi naam anjana.
Kyoun nahi chal paate hai
Un raasto par
Jis par chalta hai jag sara?
Na jaane kyoun bhatakte phirte hai
Pagdandi, pagdandi
Jangal, khalihan sara?
Shayad phagoon ki
Rasta khoyee hawa hain,
Kabhi ek tinke se jala dete hai
tamam umar ki kamaiee,
Kabhi usi tinke koi bana lete hai
Doobte ki parchyee.
Kya dhoondhte hai?
Kyoun dhoondhte hai?
Kise dhoondhte hai?
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Halke Halke se
Ye hume halke halke se
Kya hone laga hai?
Kora kagaz humara
Rangoo se bharne laga hai,
Ya humari nazre hi rangeen ho chali hai?
Hum badal rahe hai,
Ya aaina badal gaya hai,
Kuch din huai
Bada raas aane laga hai.
Dekhte hai, nayano me
Kajal khoob bhane laga hai,
Ye humare nayan badal gaye hai
Ya phir kajal hi badal chala hai.
Tum sang,
Choori ke chand lamho mei
Jee lete hai aapni,
Aarso ki jindagi,
Ye lamhe jindagi ban chale hai,
Ya jindagi lamho mei simat chalee hai.
Tum me hum me hai janmoo ka phasla
Tum parayee,
Hum ek doosri duniya me base basayee.
Ye kya hone laga hai?
Janmoo ka phasla kam ho raha hai,
Ya, tamam janm ise janam me mil gaya hai.
Tum parayee hokar bhi,
Aapne se lag rahe ho.
Ye parayee aapne ho gaye hai,
Ya hum khud se parayee ho chale hai.
Ye hume halke halke se
Kya hoone laga hai…..?
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Tumme humme jo hai khas
Na jaane tumme-hum me,
Kya khas hai
Jo batayee nahi banti,
Chipayee nahi chipti.
Bahut rooka raab ko
Par,
Cheep cheep kar
Tumme voh dikhta hi raha.
Bahut tooka khud ko
Par,
Ruk ruk kar,
Tum par voh lootta hi raha.
Kaie baar soocha tumko
Seene se nikal
Jamee par khada kareen
Par,
Jamee ne jagah nahi di
Aur
Seene ne raasta.
Tumhe seene me kaid kar,
Hum jamee par raasta khojte rahe.
Tum kabhi thee?
Tum nahi thee,
Kabhi nahi,
Aaj bhi nahi ho,
Aur kal ki ummeed kya Karen
Shayad kal toh
Hota hi hai nahi…
Par,
Phir bhi tumhari rah par
Palke bicha,
Yeh soochte hai…
Na jaane tumme hum me,
Kya khas hai
Jo batayee nahi banti,
Chipayee nahi chipti.
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Dil Ka Khalipan! ! ! !
Na ujjalo me jalta hai
Na aandhero se bharta hai
Dil ka khalipan
Na jaane kya chahta hai..
Jal mei bhi pyasa hai
Poora hokar bhi aadhoora hai..
Ye begana aakhir kya chahta hai..
Ghar ki chat ke neeche hokar
Bhi hai beghar..
Manzil pakar bhi bemanzil..
Aakhir banzara yeh mann,
Kyun galiyon me bhatakta hai..
Bhara bhara sa har waqt,
Phir bhi hai khali..
Jhake har manzar manzar
Gali gali..
Aakhir ye mann kya dhoondhta hai?
Kyun har lamha hai
Raste me nazaree gadhaye..
Kiske intezar mei
Palke beechayee?
Dil ka khalipan
Aakhir kya chahta hai?
Na ujjalo me jalta hai
Na aandhero se bharta hai
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Hame jo yaad nahi...I don't rememebr
Hame jo yaad nahi uski aap yaad dilate hai
Manhus thi vo raat jo humko barbar rulati hai
Hamne kya kya nahi kaha tha aapse
Aap to hamara vajud hi bhuld gaye dilse
I had forgotten it all but you reminded
About the fateful night of tears that had blinded
What had I not promised you for the life?
You refused to everything to become bride
Aapka sochna durasta tha
Per hamra khyal bhi galat nahi tha
Aapne hame najrose upper utha liya tha
Fir aaise hi kyo jamin per patak diya
You were perfect in match with thought
But I too was not wrongly caught
You raised me high up to excel
Only to bring down at ground level
Aapne kaha chand aur tare kahan milte hai
Andheri rat me sirf sitare hi chamkete hai
Un dhundhli yaddoko yaad karne se kya faida
Jo hame kuchh bhi na de sake vo kaisa hai vada
You had thought about ill fate of stars and moon
Only stars twinkle often and remain there on
What is use of keeping all those sweet memories?
If that can’t give us anything sans worries
Dost hote nahi bichhdne ke liye
Per hote hai ek dusre per jaan chhidkne ke liye
Waqt ka takaja yehi hai ki aap hamara daman pakad le
Duniya walonki nigah se bachhe aur unki jaban ko tala lagale
Friends are meant to be deserted
But always loyal and to be asserted
Situation demands that you hold my hand
Show the world with move and force them to change trend
poem by Hasmukh Amathalal
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Sirf Cry(Hindi)
Dukh aur Dard
Bas dard, sirf dard hai
Kya bolon, lagtha hai main kho gaya hoon
Kuch nahi samaj aatha
Kabhi kabhi lagtha hai, bas cry kar doon
Dukh aur dard mujko bahut tarpatha hai
Cry, sirf cry karna hai mujko.
poem by Rohit Sapra
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Kyon?
Kabhi hum aapko dhundhte hai.
Kabhi aap humko dhundhte ho.
Bheed me jamane ki
Khoye hai,
Shayad dono kahi.
Ya bandhe huai hai,
Baediyoo se,
Khud ko yo hi.
Phir bhi
Dhundhte hai
Nain aapko
Nirantar
Yo hi.
Kuch hai jo joode rakhta hai
Humko,
Samay ki parato ke pare.
Kuch hai jo bandhe rakhta hai
Aap ke mann se mujhe.
Tamam swachand hone ki
Koshishso se pare.
Hum bhid me kho kar dekh liye.
Bhag kar samay se pehle nikalne
Ki koshish kar liye.
Chip kar tammam pardo ke
Peeche ho liye.
Auur har baar
Khud ko,
Aapko dekhte paya humne.
Har baar
Paya aapko bhi
Yo hi
Khojte huai.
Bheed ko pyyasi aakho se takte huai.
Phir dekh kar humko
Oot me chipte huai.
Kis se chip rahe hai?
Khud se,
kab tak yo hi chipte phirengee?
Dard ke selab me
Yo hi doobte rahenge?
mana,
Ye galat hai,
Aapka mera yo
Benam rishton me joodna.
Ye galat hai,
Beboonyaad se dhadhkano ko
[...] Read more
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Hindi Poem- Ankahi
Aaj kagaz pe syahi failane ka man to bahut hain,
Par kuch nahi hain khas,
Kash aaj main kuch likh pati,
Kash kuch keh pati,
Par pata nahi kyun,
Aaj shabd nahi hain mere pas,
Kin khayaalo ke bare me sochu main,
Jab kuch lamhe hi nahi saheje apne pas,
Kuch dhundhli yaadein bhi nahi mere sath,
Kya bayaan karu aaj jazbaat apne,
Kuch jazbaat hi nahi mere pas,
Jazbaat chodo,
Lagta hai aaj kehne ko to apni saasein bhi nahi mere pas,
Log kehte hai... jazbaat aur saasein to dil me basti hain,
Lagta hain... Aaj shayad dil hi nahi mere pas....
poem by Apurva Jain
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Ajnabee Mera Mann
Iss ajnabee se mann ka
Hum kya kare?
Koi sandook do,
Tala laga,
Chaabi samandar ko sonp aaye.
Ya phir,
Sandook hi ko
Samandar me pheek aaye.
Iss ajnabee se mann ka
Hum kya kare?
Koi khoota ho,
Baedi phasa,
Bandh ke rakhe,
Ya phir,
Khoote ke hi supurd
Mann aur baedi kar aaye.
Par…
Kya kare…
Mann hai,
Dhadkan mei basta hai,
Seene me rahta hai
Aur vahi se,
Sara shor karta hai.
Jakhmi hai,
Darun vilap karta hai,
Kabhi beraham,
Aatahas karta hai,
Lakh samjzhaye
Nahi samajhta,
Kabhi bina kahe hi
Maan jata hai.
Kabhi bahti nadiya se bhi
Pyaasa lout aata hai,
To kabhi,
Bul bule par
aapni shristi loota aata hai.
Koi kahe,
Koi toh kahe….
Iss ajnabee se mann ka
Hum kya kare? -anjali
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Na Janee
Na janee kitna kah gayee
Aur
Kitna chipaa gaye.
Na janee kya kya likh gayee
Aur
Kitna mittaa gaye.
Manzil nahi hai
Aur
Na koi raasta
Phir bhi,
Anjaan se rahoo mai
Na janee kyon nikal pade.
Na janee Kaha se nikle the
Aur
Kaha pahuch gaye.
Na janee kya gila hai
Aur
Kis se shikwa kare
Belabz dastan hai
Na janee kis kis ko
Kya kya bayan kare.
Na janee dhadkanee aapni hi hai
Ya hai paraiee
Bahut toka humne
phir bhi
Na janee kyon yo betok dhadak gayee.
Dard ka shouk nahi hai,
Na gamo se koiee wasta,
Phir bhi
Na janee kyon dard shoukh se ban rahe hai
Aur
Gamoo se kuch nata sa ho chala hai.
Na janee kaha ko nikle the
Na janee kaha pahuch gayee..-anjali
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Tumhi Me Hai Jo Basa
Na jaane umar bhar kya dhundh rahe the?
Na jaane tum me kya mil gaya,
Koi naam, koi pata hota toh
Shayad,
Jaan hi lete…
Koi nak-naksh hota toh
Shayad,
Pehchan batate..
Voh jo bas tum me hai
Sirf tum me.
Ha…tumhi me hai voh basa.
Humari nazaro ko hai pata
Shayad,
mann ki kisi gahrayee meiHai chipa
uske astitva ka naksha.
Dikhta hai sirf hume hi jo,
Kaash,
Tumhe bhi dikha paate voh wajah.
Phir shayad,
Tumko nahi lagta
Youn tumpar humara mar mitna,
Koi julm, ek khata.
Par afsos,
Koi nak naksh nahi hai
Koi naam paata tak nahi hai
Uska,
Jo basta sirf tum me hai,
Aur dikhta sirf hume hai
Na jaane us tak pahuchta hai
Kaha se…koun sa raasta…
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Mann Toh Mann Hai
Mann to mann hai
Ek sawachand panchi
Kaun use kisi bandhan
me bandh paya hai.
Lakh talo me rah kar bhi
uuse kon bandi bana paya hai.
Dekho to uuadan uski
Chand lamho mei
Vo to kitne brahmand
Bhraman kar aaya hai.
Mann to mann hai
Ek sawachand panchi
Kaun use kisi bandhan
me bandh paya hai.
Tan ko to bandh liya
kadiyo se.
Kabhi diwaroo mein
Kabhi dooriyo mein
Mann ke aashwo ki
Doowd kaun, kaha,
rok paya hai
Mann to mann hai
Ek sawachand panchi
Kaun use kisi bandhan
me bandh paya hai.
mann doodaye
mann hasaye
mann roolaye
mann ki mahima
kya kabhi kooie jaan paya hai.
Mann to mann hai
Ek sawachand panchi
Kaun use kisi bandhan
me bandh paya hai
mann chanchal hai,
jharno sa
baadlo mein chamakti bijjliyo sa.
mann paavan hai
pooja mein chadhe puspo sa.
mann pischash hai
khoon mooh lage narbhakshi sa.
par phir,
[...] Read more
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Jhootha Nahi(Hindi)
Sirf Tum Thi Mere Dil Main
Lekin pyar toh ban gaya ek khilona
Maine tumhara dil thora, tumne mera
Tumko lagtha hai ki pyar mera jhootha hai
Pyar saacha tha, saachi
Bahut kiya tha pyar maine tumse
Aur sirf tum hi thi mere dil main
Main jhootha nahi tha.
poem by Rohit Sapra
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Ye Kaisa Rishta Hai
Ye kaisa rishta hai
Ye kaisa rishta hai
jise na nibha paate hai
Na tood paate hai.
Phir bhi janmo tak
Salamat rahe
Yeh dua karte hai.
Ye kaisa bandhan hai
Jise na yaad karte hai
Na bhul paate hai
Saapno me hi sahi
Sang raho
Yeh tammanna rakhte hai.
Ye kaise lou hai
Jise na jala sakte hai
Na bujha paate hai
Sulagti rahe
Dil me sada
Ye saja lete hai.
Ye kaisa rog hai
Jise na dikha paate hai
Na chiipa paate hai
Dard ko gale se laga
Mann me basaye phirte hai.
Ye kaisa rishta hai
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Tum Kyun Nahi Aaye Pehle Kabhi?
Tum kyun aaye abhi?
Duniya bhar ki roshni liye?
Hume andhere ki aadat
Ho chalee thee.
Kabhi youn khud ko dekha nahi,
Andhere me sheesha nazar aaya hi nahi.
Tum kyun aaye abhi?
Itni sari khusiyan liye
Hume gamo se mohabbat
Ho gayee thee.
Dekho..
daman me sambhali jaati nahi!
Kabhi issko batorte hai,
Toh kabhi uss ko kho dete hai!
Tum kyun aaye abhi?
Umar bhar ki guftagoo liye?
Bheed me tanha phirte the,
Kabhi bewazah haste,
Kabhi bewazah rote the,
Par aah tak nahi karte the.
Abb samajh aata nahi..
Tumse shikayat kare..
Ya kare gila
Tum kyun nahi aaye pehle kabhi?
poem by Anjali Kakati
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!
