Main Jo Tha Mom Ka Putla
main jo tha
vo mom ka putla
har kisi ko pasand aata tha
ye mom ka putla
na kuch kehta tha
na kuch samajta tha
ye mom ka putla
phir ek din mujme jaan daal di gayi
insaano ki duniya mein meri naam daal diya gaya
kuch pasand karne lage
kuch hue jealous
kuch pyar karte
kuch takrar karte
main jo tha ek mom ka putla
kisi ne mujme jaan daal di
ab hone lagi dheere dheere nafrat mujhse
kisi ne mujhme khot nikal di
har cheez bikti thi us duniya mein
par mera koi mol na paya
main jo tha ek mom ka putla
kisi ne mujhme jaan daal di
sauda hua jo beedh ke bazaar mein
kahin bik na paya main
mera mol kaha tha
us aamir ki dukan pe
jo kudh hi lut chuka ho
vo kya chukata mol mera
padha raha aasman mein
mom ka putla ban kar
phir ek din meri jo jarurat na thi
bej diya mujhe khadan mein
aag jo meri meet thi
mil gayi khushi is jahan ko
main jo tha mom ka putla
kaam na aaya is jahan ke
main jo tha mom ka putla............................................ .......
poem by Imnt Alive
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

No comments until now.