Latest quotes | Random quotes | Vote! | Latest comments | Submit quote

Quotes about aur, page 3

Awareness poem in Hindi by Deepak kumar deep

Sadiyon se khamosh ye dharti
Pata dhoondh rahi hai insanon ka
Kash! Kahin koi mil jaye
Kya shahar hai ye veerano ka?

Dhadhak rahen hai dil par hoth hain band
Iltaza hai kuch kahne ki
Par! sari nakam koshish
Mai chala gaya tha mudon ke shahar me
The naam wahan gude huwe sunhare patthron par

Wo bebas the, chilla rahe the,
Ro rahe the apni lachari par
Zuban na thepaas unke, kuch kahne ko
Kyonki wo bebas the lachar the……
Jane laga jab wahan se main
Pukar rahi thi wo sari lashen mughe
Chilla chilla kar kar kah rahi thi-
Mat banna aise, jaise the mere karm
Yaad kar un baton ko, aati mughe abs harm

[...] Read more

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Sirf Cry(Hindi)

Dukh aur Dard
Bas dard, sirf dard hai
Kya bolon, lagtha hai main kho gaya hoon
Kuch nahi samaj aatha
Kabhi kabhi lagtha hai, bas cry kar doon
Dukh aur dard mujko bahut tarpatha hai
Cry, sirf cry karna hai mujko.

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Saagar aur Meena...(A poem written in Urdu)

Unn kay aaney se aaj mehfil saja do
Iss jam kay pee-ale ko aaj moo sey laga lo
Bhool jaow saray gam ye meh-khana hai kulla
Jehan sham ka suroor hai aur raat ka nasha
Wo Saagar aur Meena hain meray dil ka suroor
Pela dou itney ka ho jawoon gham sey dooor
Is sharaab kay nashay mai nashaman gawa diya
Kai bhool hoey thee jo mu sey laga liya..

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Shabaab (YOUTH)

Waqt ki andhiyon me udta ek khwab hai,
Zeest ke nisab ka ek haseen bab hai,
Jahan ki taqaton ka jo bus ek jawab hai,
Han yahi shabab hai, han yahi shabab hai.

Dagmate hain qadam antheron aur ujalo me,
Fans ke rah gaya her shakh husn ke sawalon me,
Zikr hai tera subh o sham ishq karne walo,
Chalte hain rahon me bus apne hi khayalo me.

Her qaum ki azmat ka wo jo ek nishaan hai,
Her inqalab ka jo hai dil aur uski shaan hai,
Rah-e-haq me badhne ko yun to her ek qurbaan,
Hai Khuda ko bhe fakhr agar aya koi jawaan hai.

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Tree Plantation Ped lagayen, Paryawaran bachayen

Vrikash paryawaran ki shan hain
Vrikashon ko na katen hum
Ped lagayen, paryawaran bachyen
Vrikash hamari jaan hain.

Vrikash lagana acchi baat hai
Par Vrikash ki rakasha bhi Karen
Apne swarth ki khatir
Ped kaatna galat baat hai.

Ped pradushan se hame bachte
Ped hi barish late hain
Ped hi sunder fal hain dete
Aur hamari sehat banate.

Ped hamari khatir jeete
Kitna bada hai unka upkar
Khud sahkar dhoop aur toofan
Dete hame thandi bayar(Hawa) .

[...] Read more

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Umar-e-daraaz [a poem in Urdu]

Umar daraaz huie toa kya hasil
Be-bassi, lachaargi, mohtaji
Umar-e-daraaz;
Ik taveel raat jiski saher nahien
Jo kisi unt ki mohtaaj hai bas
Aur woh unt bhi uske bas mein nahien
Umar-e-daraaz ki yehi dastaan hai bas.
Umar-e-daraaz mein
Apno nein dieay jo dukh
Woh toa seh bhi lein
Peeda apno ke dukh ki
Sahi nahi jaati,
Woh jinhain itney naazon se paala
Unki takleef toa dekhi nahi jaati;
Laakh chhah kar bhi
Kuchh na kar paane par
Ahsas-e-be-bassi aur badh jaata hai
Umar daraaz huie toa bas yehi hai hassil
Be-bassi, lachaargi, mohtaji. [2012]

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Bindu. [A poem in Hindi]

Ik roop naino se man mein uttra
Mano dooor kshitij par ik madham sa bindu ubhara
Dhire dhire meri aur badha
Bindu bana ik chand
Roop ne karvat li
Hua chand se pyar
Tab hua milan
Ik madhur milan
Ik sukhad milan
Mano do aatmain samaa gai hoon jismain
Tab samay ki dhara baha ley gai
Milan ke is sukh ko
Usi kshitij ki aur
Chand phir ik bindu bana
Sukhad milan ki dard bhari yaad
jaise dooor kshitij par ik madham sa bindu
Chand ik bindu
Bindu ik roop
Bindu ik yaad
Bindu ik dard

[...] Read more

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Saawan Tu Baras Ja (A poem written in Urdu)

Mosam hai aashiqana, saawan tu baras ja
Iss pyar kay mosam mai yun mujh ko na tarpa
Ye ghata-een aur mast faza-een
Geetoon ki sargam, aaj mujh ko suna-een
Baarish ka shor kisa, hawa-een chelayn zoor
Dil terpay tujh sey milnay, ouur jayeen meray hosh
Wo beeghay badan ki kushbo, basi jo saa-so mai
Kisey lagi ye aag, aa ja tu ba-hoon mai
Tarpa na mujh ko itna, mosam ka maza le
Do char din ki zindagi, pyar tu kar ley
Tujhay dekhnay ko aksar, teelay pe jaoo mai
Baarish ki boond peray, aur guon-guo-naoon mai
Aagan mai peray joolay, pyal ki chankar
Saa-say na thami meri, karoon tera intizar

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Saawan Tu Baras Ja... A Romantic poem written in Urdu)

Mosam hai aashiqana, saawan tu baras ja
Iss pyar kay mosam mai yun mujh ko na tarpa
Ye ghata-een aur mast faza-een
Geetoon ki sargam, aaj mujh ko suna-een
Baarish ka shor kisa, hawa-een chelayn zoor
Dil terpay tujh sey milnay, ouur jayeen meray hosh
Wo beeghay badan ki kushbo, basi jo saa-so mai
Kisey lagi ye aag, aa ja tu ba-hoon mai
Tarpa na mujh ko itna, mosam ka maza le
Do char din ki zindagi, pyar tu kar ley
Tujhay dekhnay ko aksar, teelay pe jaoo mai
Baarish ki boond peray, aur guon-guo-naoon mai
Aagan mai peray joolay, pyal ki chankar
Saa-say na thami meri, karoon tera intizar

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share

Sawan Aaya [A poem in hindi]

Baadal aaye aur hain barse
Loag kahte hain sawan aaya.
Dharti thi tapti
Aag thi barasti
Jalta tha har ek badan bhi
Iss sawan ki phuhaar ne
Kitni rahat di in sab ko
Haan priyey yeh sawan aaya.
Iss pal priyey Tum jo hotien
Hotien jo tum
Hota aalingan
Bheegta tann mann
Lagti ik agan
Tum jal apsra si lagtien
Aur main tumhein bahoon mein layta,
Priyey kitna anand tab hota
Sawan mein tera sangg jab hota.
Par priyey tum kya jaano
Iss sawan mein
Dooor desh mein

[...] Read more

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share
 

<< < Page 3 >

Search


Recent searches | Top searches