Latest quotes | Random quotes | Vote! | Latest comments | Submit quote

Kabootar Se Computer Tak!

Kabhi esa bhi hota tha
Baharen jb bhi aati thiin
Tou apne sath jazbon ki nai faslen ugaati thiin
Hawaen geet gaati thiin
Fazaen muskuraati thiin
Wohi lamhaat hote thay
K jb ghamgeen nigaahon se jo dard aamez behte jam aate thay
Kabootar kaam aatay thay
Naey paigham laatay thay
Inhi lamhaat mein pinhaan hua krti thiin sub khushian …! ! !
Ab esa daur aya he
K sub k sub sada hr waqt hi log on rehte hen
Aur internet pe hr dm use laakhon phone hote hen
Dalail mein Faraz o Faiz o Ghalib note hote hen
Yaheen pr keats or Shelley k naghmay quote hote hen
Dilon pr kuchh naey jazbaat download hote hen
Ajab yeh khail hota hey
Gilay E-mail hote hen
Kabhi akhtar shumaari thi
Kabhi aankhon mein raaten thiin
Kabhi taaron se baaten thiin
Ab MSN pe chatting he
Kabhi FB pe tagging he
Kabhi qaasid k nakhray thay
Ab internet pe messengers ki taaza baharein hen
Magar ab kuchh bhi ho jaey
Zaraaey change ho jaen
Wisaal o hijr k naghmaat jis bhi rang, jis aahang mein ubhren
Kabootar ho ya computer
qareenay guftgu k jis shakal mein bhi badal jaen
yehi mehsoos hota he
muhabbat km nhi ho gi
muhabbat km nhi ho gi...! ! ! .

poem by Report problemRelated quotes
Added by Poetry Lover
Comment! | Vote! | Copy!

Share
 
 

No comments until now.


Comment

Name (required)

E-mail address (hidden)

Search


Recent searches | Top searches