Click in the field, then press CTRL+C to copy the HTML code
School V/s College
Na hoti ye B. Tech, na hoti ye MD ki sheetey
Yaad aate hain yaaro, lamhe wo beetein
School ki wo masti yaad aati hai har pal
Yaad aata hain mujhko beet gaya jo kal
School mein jaate the padne hum saare
College mein jaate hain attendance ke maare
Teacher ko maante the tab hum guru
School mein jaate hi padhai shuru
Yahaan to chalti hai humari sarkar
Dooston ke sang maani kabhi na haar
School mein padte waqt hota tha competition
Yahaan aakar puchhte hain kab aayega math ka solution
School mein pocket mein hota tha pencil n rubber
Yahaan to class notes ki bhi nahi hai khabar
School mein jaate the hum sab padne, ghar pe sab kuch batana hain
College mein jana to girl friend dekhne ka ek bahana hain
School mein jaate waqt, har roj hote the paise
Yahaan purse to hain, lekin nahi hain paise
School mein hamesha jaane se pahle bag check kia
Yahaan to jo marji mila, wahe kagaj utha lia
Pen jeb mein hua nhi, ungli se kaam chalaya hai
Jisne ki hain college mein masti sukh to usne hi paaya hai
School mein hoti thi full attendance, yahhan to 60 ke liye bhi rote hain
Par sach bataun yaaro college mein hi sapne poore hote hain
poem
by
Ankit Gupta
solid border
dashed border
dotted border
double border
groove border
ridge border
inset border
outset border
no border
blue
green
red
purple
cyan
gold
silver
black