Click in the field, then press CTRL+C to copy the HTML code
Veer Kahlate
Jo kewal kahte nahi kar dikhlate, wo hi sachhe veer kahlate
Mar kar bhi jo vachan nibhate, wo hi sachhe veer kahlate
Zindagi gar apne liye jiya to kya jiya
Jo dujon ki khatir mar jate, wo hi sachhe veer kahlate
Mumkin hai rahon me katen bichana
Jo rahon me phool bichhate, wo hi sachhe veer kahlate
Aag lagana ghar jalana hai aasan
Jo ughde ghar hai basate, wo hi sachhe veer kahlate
tan man ki Apne parwah na karke
Jo rahon se hatate kante, wo hi sachhe veer kahlate
Hon lakh badhaye jeevan me gar
Rahte sada jo muskurate, wo hi sachhe veer kahlate
Yun to marte roz hazaron par
Vatan ki khatir jo mit jate, wo hi sachhe veer kahlate
Koi sataye lakhon unko
Jo uff bhi nahi kar pate, wo hi sachhe veer kahlate
‘Deep’ naman hai aise veeron ko
Jo jag me har bar na aate, wo hi sachhe veer kahlate
poem
by
Deepak Kumar deep
solid border
dashed border
dotted border
double border
groove border
ridge border
inset border
outset border
no border
blue
green
red
purple
cyan
gold
silver
black