Click in the field, then press CTRL+C to copy the HTML code
Aap Bhi Badal Gayee
Aap bhi badal gayee
Badalte mausamoo ki tarah,
Rangoo me rang gayee
Ghadi-ghadi badlne wale
Bahurangee insa ki tarah.
Vafa ki umeed nahi ki,
Na kabhi kareeb aane ki ki aasha.
Bas duoor se hi ibadat ki thi
Kabhi parchayee
Kabhi wakt bankar.
Aakhir aap aasma ke khuda ho,
Aur hum khwabo ko rangne wale
Aadna se rangrez.
Par
Kahi kuch tha joo kahta
Aap na baadloge
Badalte mausamoo ki tarah,
Rangoo me na rangoo ge
Ghadi-ghadi rang badalte
Bahurangee insa ki tarah.
Kuch toh wazah,
Kuch toh mazboori rahi hogee
Ki khuda hokar bhi
Aap ko baadalna paada
Badalte mausamoo ki tarah,
Rangoo me rangna pada
Ghadi-ghadi rang badalte
Bahurangee insa ki tarah.
Aur hum yahi,
Rah gayee
Ibaadat ki rah me jhookte
Kabhi parchayee
Toh kabhi wakt bankar,
Khwabo ko rangne wale
aadna se rangreez.-anjali
poem
by
Anjali Kakati
solid border
dashed border
dotted border
double border
groove border
ridge border
inset border
outset border
no border
blue
green
red
purple
cyan
gold
silver
black